By Mahendra Kapoor
[Em] [G] [D] [Em]
Chalo ek baar phir se, ajnabi ban jaye ham dono
[Em] [G] [D] [Em]
Chalo ek baar phir se, ajnabi ban jaye ham dono
[Em] [D] [A]
Na main tumse koi ummeed rakhoon dilnavazi ki
[A] [Em] [A] [G] [Em]
Na tum meri taraf dekho galat andaaz nazaron se
[Em] [D] [A]
Na mere dil ki dhadkan ladkhadaye meri baato me
[A] [Em] [A] [G] [Em]
Na zaahir ho tumhari kashmkash ka raaz nazaro
se
Chalo ek baar phir se..
[Em] [A] [D] [Em]
Tumhen bhi koi uljhan rokti hai peshkadmi se
[Em] [A] [D] [G] [Em]
Mujhe bhi log kehte hain, ki yeh jalve paraye hain
[Em] [D] [A]
Mere hamraah bhi rusvaiya hain mere maajhi ki
[A] [Em] [A] [D] [G] [Em]
Tumhare saath bhi guzri hui raato ke saaye hain
Chalo ek baar phir se..
[B] [Em] [D] [A] [Em]
Taarruf rog ho jaaye to usko bhoolnaa behtar
[Em] [A] [D] [G] [Em]
Taalluk bojh ban jaaye to usko todnaa achchha
[Em] [G] [Em]
Voh afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin
[Em] [D] [A]
Voh afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin
[A] [Em] [A] [G] [Em]
Use ek khubsurat mod dekar chhodna achchha
Chalo ek baar phir se..